begunaah kaun hai us shahar meN qaatil ke siwaa
[Ali Sardar Jafri]
[munsif = judge; daar-o-rasan = gallows and noose; shaahid = witness]
New theme added - daar-o-rasan
teG munsif ho jahaaN daar-o-rasan hoN shaahid begunaah kaun hai us shahar meN qaatil ke siwaa [Ali Sardar Jafri] [munsif = judge; daar-o-rasan = gallows and noose; shaahid = witness]
1 Comment
Theme for today is Khwaab (dream)
aaNkhoN meN jo bhar loge to kaaNTe se chubhenge ye Khwaab to palkoN pe sajaane ke liye haiN [Jan Nissar Akhtar] Enjoy! Added two new couplets (ashaar) to Khoo
na dilaasaa na tashaffii na tasalli na wafaa dostii us but-e-bad_Khoo se nibaaheN kyoNkar [Daag Dehlvi] us balaa-e-jaaN se "aatish" dekhiye kyoNkar nibhe dil siwaa sheeshe se naazuk dil se naazuk Khoo-e-dost [Haider Ali Aatish] Interestingly both talk about Khoo (habit) and dostii (friendship) Added a new theme today - naaseh
A few examples: naaseh ko bulaao meraa imaan sambhaale phir dekh liyaa us ne sharaarat kii nazar se [Hafeez Jallandhari] ab to har shaam guzaratii hai isii kooche meN ye nateejaa huaa naaseh tere samajhaane kaa [Iqbal Sufipuri] tanz-o-taanaa-o-tohamat sab hunar haiN naaseh ke aap se ko_ii poochhe ham ne kyaa buraa_ii kii [Ahmed Faraz] karnaa hai mujh ko hazrat-e-naaseh se saamanaa mil jaaye do ghaRii ko tumhaarii nazar mujhe [Jigar Moradabadi] |
AuthorNita Awatramani ArchivesCategories
All
|