Unwaan
  • Home
  • Suggest A Theme
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sher-o-Shaayari
    • Sahir Ludhianvi
    • Urdu Poetry Archive

Khwaab

wo aake Khwaab meN taskeen-e-iztiraab to de
wale mujhe tapish-e-dil majaal-e-Khwaab to de
[Mirza Ghalib]

[taskeen = satisfaction; iztiraab = anxiety; tapish = burn; majaal = dare]

taa phir na intazaar meN neend aaye umr bhar
aane kaa ahad kar gaye aaye jo Khwaab meN
[Mirza Ghalib]

[taa=so that, ahad=promise ]

aaNkhoN meN jo bhar loge to kaaNTeN se chubhenge
ye Khwaab to palkoN pe sajaane ke liye haiN
[Jan Nissar 'Akhtar']

hasarateN dil kii mujassam nahiiN hone paatii
Khwaab banane nahiiN paataa ki bikhar jaataa hai
['Mumtaz' Mirza]

jhoNke ne taar taar kiyaa pai-phaTe kaa Khwaab
kin paagaloN ke haath hamaarii qabaa lagii
[Wazir Agha]

Khwaab-e-adam se chauNke the ham tere waaste
aaKhir ko jaag jaag ke ham naachaar so gaye
[Meer 'Dard']

apanii aaNkhoN ke bistar par kis ke liye ab phool chunooN
sapane safar se kab lauTe haiN kab banatii hai bigaRii baat
[H. 'Tasavvur']


aao ki ko_ii Khwaab buneN kal ke waaste
waranaa ye raat aaj ke sangeen daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na ko_ii haseeN Khwaab bun sakeN

[bunanaa = to weave; sangeen daur = hard/difficult times]
[Das lenaa = to bite; taa-umr = entire life]

go ham se bhaagatii rahii ye tez-gaam umr
KhwaaboN ke aasare pe kaTii hai tamaam umr

[tez-gaam = fleet-footed]

zulfoN ke Khwaab, hoNThoN ke Khwaab, aur badan ke Khwaab
meraaj-e-fan ke Khwaab, kamaal-e-suKhan ke Khwaab

[meraaj-e-fan = (to reach) summit of art; kamaal-e-suKhan = perfection in poetry]

tahazeeb-e-zindagii ke, faroG-e-watan ke Khwaab
zindaaN ke Khwaab, koochaa-e-daar-o-rasan ke Khwaab

[tahazeeb-e-zindagii = civilized life; faroG-e-watan = nation's progress/upliftment]
[zindaaN = prison; koochaa-e-daar-o-rasan = road leading to the gallows]

ye Khwaab hii to apanii jawaanii ke paas the
ye Khwaab hii to apane amal ke asaas the
ye Khwaab mar gaye haiN to be-rang hai hayaat
yooN hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat

[amal = work; asaas = foundation; hayaat = life]
[dast-e-tah-e-sang = hands crushed under a stone (helpless)]

aao ki ko_ii Khwaab buneN kal ke waaste
waranaa ye raat aaj ke sangeen daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na ko_ii haseeN Khwaab bun sakeN
[Sahir Ludhianvi]


Copyright (c) 1997 - 2020 Nita Awatramani