Unwaan
  • Home
  • Suggest A Theme
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sher-o-Shaayari
    • Sahir Ludhianvi
    • Urdu Poetry Archive

daar-o-rasan (gallows and noose)

teG munsif ho jahaaN daar-o-rasan hoN shaahid
begunaah kaun hai us shahar meN qaatil ke siwaa
[Ali Sardar Jafri]

[munsif = judge; daar-o-rasan = gallows and noose; shaahid = witness]

galuu-e-ishq ko daar-o-rasan pahuNch na sake
to lauT aaye tere sar_buland kyaa karate
[Fair Ahmed Faiz]

maiN chup rahaa ki is meN thii aafiyat jaaN kii 
ko_ii to merii tarah thaa jo daar par bhii gayaa 
[Ahmed Faraz]

zindaaN meN bhii khiNche rahe daar-o-rasan se ham
rahate haiN sar_kashoN meN bahut baaNkhpan se ham
[Sikander Ali Wajd]

aayaa hai kabhii zikr agar daar-o-rasan kaa 
gesuu-wa-qad-e-yaar kii baat aa hii ga_ii hai 
[Mazhar Imam]

ye rutabaa-e-buland milaa jis ko mil gayaa
har mudda_ii ke waaste daar-o-rasan kahaaN
["Rind"]

Copyright (c) 1997 - 2020 Nita Awatramani