Unwaan
  • Home
  • Suggest A Theme
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sher-o-Shaayari
    • Sahir Ludhianvi
    • Urdu Poetry Archive

Khoo (aadat)

ranj se Khoogar huaa insaaN to miT jaataa hai ranj
mushkileN mujh par paRii itanii ke aasaaN ho ga_iiN
[Mirza Ghalib]

ham bhii tasleem kii Khoo DaaleNge
beniyaazii terii aadat hii sahii
[Mirza Ghalib]

sohabat meN Gair kii na paRii ho ye Khoo kahiiN
dene lage haiN bose baGair iltajaa kiye
[Mirza Ghalib]

zid kii hai aur baat magar Khoo burii nahiiN
bhoole se us ne saikaRoN waade wafaa kiyaa
[Mirza Ghalib]

woh apanii Khoo na chhoReNge, ham apanii vaza'a kyoN chhoReN
subuk sar ban ke kyaa puchheN, ki ham se sargiraaN kyoN ho
[Mirza Ghalib]

betalab deN to mazaa us meN sivaa milataa hai
wo gadaa jis ko na ho Khoo-e-sawaal achchhaa hai
[Mirza Ghalib]

[betalab = without asking; gadaa = beggar; Khoo = habit]

tumhiiN kaho ki guzaaraa sanam parastoN kaa
butoN kii ho agar aisii hii Khoo to kyoNkar ho
[Mirza Ghalib]

milatii hai Khoo-e-yaar se naar iltihaab meN
kaafir hooN gar na milatii ho raahat azaab meN
[Mirza Ghalib]

[Khoo-e-yaar = lover's nature/behavior/habit, naar = fire]
[iltihaab = flame, azaab = sorrow]

allaah re! terii tundii-e-Khoo jis ke beem se
azzaa-e-naalaa dil meN mere rizqe-ham hue
[Mirza Ghalib]

[tundii-e-Khoo = habit of aggressiveness; beem = terror]
[azzaa-e-naalaa = pieces of screams; rizq = subsistence]

vo bad Khoo aur merii daastan-e-ishq tuluaaniii
ibaarat muKhtasar, qaasid bhii ghabaraa jaaye hai mujh se
[Mirza Ghalib]

[bad Khoo = a person with bad habits; tulaanii = long;]
[ibaarat = composition; qaasid = messenger]

dil-e-begaanaa-Khoo, duniyaa meN teraa
ko_ii ham_dam ko_ii ham_raaz bhii hai
[Arsh Malsiyani]

[dil-e-begaanaa-Khoo = heart which is used to belonging to others]

ushaaq ke dil naazuk us shoKh kii Khoo naazuk
naazuk isii nisbat se hai kaar-e-muhabbat bhii
[Hasrat Mohani]

[ushaaq = lovers; khoo = habit; naazuk = delicate]
[nisbat = related to this/due to this; kaar-e-muhabbat = task of love]

yooN arz-o-talab se kab ai dil patthar-dil paanii hote haiN
tum laakh razaa kii Khoo Daalo kab Khoo-e-sitam_gar jaatii hai
[Faiz Ahmed Faiz]

tum agar apanii Khoo ke ho maashooq
apane matalab ke yaar ham bhii haiN
[Daag Dehlvi]

apane Khoo-e-wafaa se Darataa hooN
aashiqii baNdagii na ho jaaye
[Bekhud Dehlvi]

Khudaa jaane kyaa hogaa anjaam is kaa
maiN besabar itanaa hooN wo tuNd Khoo hai
[Khwaja Mir Dard]

kyaa sabab too jo bigaRtaa hai 'Zafar' se har baar
Khoo terii hoor-e-shamaa_il kabhii aisii to na thii
[Bahadur Shah Zafar]

[sabab = reason]

koochaa-e-yaar meN jaane kii kabhii Khoo na ga_ii
ThokareN khaa ke bhii sambhale na sambhalane waale
[Mohammed Ali Nazir]

raazii-wa-razaa ham haiN bahar-haal magar haaN
Dar hai ki ye Khoo tum ko sitam_gar na kar de
[Hasrat Mohani]

nahiiN yaa sanam 'Momin' ab kufr se kuchh
ke Khoo ho ga_ii hai sadaa kahate kahate
[Momin Kham Momin]

na dilaasaa na tashaffii na tasalli na wafaa
dostii us but-e-bad_Khoo se nibaaheN kyoNkar
[Daag Dehlvi]

us balaa-e-jaaN se "aatish" dekhiye kyoNkar nibhe
dil siwaa sheeshe se naazuk dil se naazuk Khoo-e-dost
[Haider Ali Aatish]
Copyright (c) 1997 - 2020 Nita Awatramani