Unwaan
  • Home
  • Suggest A Theme
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sher-o-Shaayari
    • Sahir Ludhianvi
    • Urdu Poetry Archive

zaahid

sab haseeN haiN zaahidoN ko naapasand
ab ko_ii hoor aayegii in ke liye
[Ameer Minai]

[hoor = fairy/celestial nymph]

zaahid ye merii shoKhii-e-rindaanaa dekhanaa
rahamat ko baatoN baatoN meN bahalaa ke pii gayaa
[Jigar Moradabadi]

jahaaN se raastaa bhoolaa hai baarahaa zaahid
wahiiN se raah muRii hai sharaab_Khaane kii
[Asar Lucknawi]

masjid meN bulaate haiN hameN zaahid-e-naafaham
hotaa kuchh agar hosh to maiKhaane na jaate
[Ameer Minai]

rind-e-Kharaab_haal ko zaahid na chheR tuu
tuj ko paraa_ii kyaa paRii apanii nibheR tuu
[Ibrahim Zauq]

zaahid sharaab piine se kaafir huaa maiN kyooN
kyaa DeR chulloo paanii meN imaan bah gayaa
[Ibrahim Zauq]

samajhaataa kyaa hai tuu deewaanaagaan-e-ishq ko zaahid
ye ho jaayeNge jis jaanib usii jaanib Khudaa hogaa
[Jigar Moradabadi]

josh-e-rahamat ke waaste zaahid
hai zaraa sii gunah_gaarii shart
[Daag Dehlvi]

lutf-e-mai tujh se kyaa kahooN zaahid
haaye kam_baKht toone pii hii nahiiN
[Daag Dehlvi]

zaahid mazaa to jab hai azaab-e-sawaab kaa
dozaKh meN baadaakash na ho jannat meN tuu na ho
[Daag Dehlvi]

dekh us chashm-e-mast ko zaahid
tujh se itanii bhi pee nahiiN jaatii
[Daag Dehlvi]

mol jannat ka huaa naqd-e-ibaadat zaahid
haaye kahiiN maal kahiiN daam liye jaate haiN
[Daag Dehlvi]

jo mai_farosh se saudaa bane to kar lenaa
kamii ho hazrat-e-zaahid wo ham se bhar lenaa
[Daag Dehlvi]

aashiqii se milegaa ai zaahid
bandagii se Khudaa nahiiN milataa
[Daag Dehlvi]

apanii tasbeeh rahane de zaahid
daanaa-daanaa shumaar kaun kare
[Daag Dehlvi]

[shumaar = count]

sach kahaa thaa tuu ne zaahid zahar-e-qaatil hai sharaab
ham bhii kahate the yahii jab tak bahaar aa_ii na thii
[Jaleel Manikpuri]

gar yaar mai pilaaye to phir kyoN na peejiye
zaahid nahiiN miaN shaiKh nahiiN kuchh walii nahiiN
[Insha]

bacheNge hazrat-e-zaahid kahiiN baGair piiye
hamaare haath lage haiN janaab barasoN meN
[Unknown]

zaahid ne meraa haasil-e-imaaN nahiiN dekhaa
ruKh par terii zulfoN ko parishaaN nahiiN dekhaa
[Asghar Gondvi]

huaa hai chaar sajdoN par ye daawaa zaahido tum ko
Khudaa ne kyaa tumhaare haath jannat bech Daalii hai
[Daag Dehlvi]

botal khulii ko hazrat-e-zaahid ke waaste
maare Khushii ke kaag bhii do Gaz uchhal gayaa
[Qasr Dehlvi]

baiThataa hai hameshaa rindoN meN
kahiiN zaahid walii na ho jaaye
[Bekhud Dehlvi]

pee bhii le do ghooNT zaahid pee bhii le
maikade se kaun pyaasaa jaayegaa
[Bekhud Dehlvi]

zaahidoN ko kisii kaa Khauf nahiiN
sirf kaalii ghaTaa se Darate haiN
[Shakeel Badayuni]

is taubaa par hai naaz mujhe zaahid is qadar
jo TooT kar shareek hooN haal-e-tabaah meN
[Daag Dehlvi]

zaahid kuchh aur ho na ho maiKhaane meN magar
kyaa kam ye hai ki shikavaa-e-dair-o-haram nahiiN
[Jigar Moradabadi]
Copyright (c) 1997 - 2020 Nita Awatramani