Unwaan
  • Home
  • Suggest A Theme
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sher-o-Shaayari
    • Sahir Ludhianvi
    • Urdu Poetry Archive

saaqii

mujh tak kab un kii bazm meN aataa thaa daur-e-jaam
saaqii ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab meN
[Mirza Ghalib]

pilaa de ok se saaqii jo ham se nafrat hai
pyaalaa gar nahiiN detaa na de sharaab to de
[Mirza Ghalib]

mast kar ke mujhe auroN ko lagaa mooNh saaqii
ye karam hosh meN rah kar nahiiN dekhe jaate
[Ali Ahmed Jaleeli]

zikr-e-saaqii hii kaafii nahiiN ai 'Fana'
bepiye maikade meN guzaaraa nahiiN
[Fana Nizami Kanpuri]

shaayad aa jayegaa saaqii ko taras ab ke baras
mil na paayaa hai un aaNkhoN kaa ras ab ke baras
[Rai Rampuri]

aaNkh ko jaam samajh baiThaa thaa anjaane meN
saaqiyaa hosh kahaaN thaa tere deewaane meN
[Shamim Shahabadi]

ye rang-e-bahaar-e-aalam hai kyooN fikr hai tujh ko ai saaqii
mehfil to terii soonii na hu_ii kuchh uTh bhii gaye kuchh aa bhii gaye
[Majaz]

laa pilaa de saaqiyaa paimaanaa paimaane ke baad
hosh kii baateN karooNgaa hosh meN aane ke baad
[Unknown]

tere sheeshe meN mai baaqii nahiiN hai
bataa kyaa tuu meraa saaqii nahiiN hai

samandar se mile pyaase ko shabanam
bakheelii hai ye razzaaqii nahiiN hai
[Unknown]

saaqiyaa! saaqiyaa! saaqiyaa! saaqiyaa!
raham kar, raham kar, raham kar, raham kar
mai na de, mai na de, mai na de, mai na de
ek nazar, ek nazar, ek nazar, ek nazar
[Unknown]

tere nisaar saaqiyaa jitanii piyooN pilaaye jaa
mast nazar kaa waastaa mast mujhe banaaye jaa
[Unknown]

ye alag baat hai saaqii ki mujhe hosh nahiiN
hosh itanaa hai ki maiN tujh se faraamosh nahiiN
[Unknown]

baat saaqii kii na Taalii jaayegii
kar ke taubaa toR Daali jaayegii
[Habib Jaleel]

ko_ii samajhaaye ki kyaa rang hai maiKhaane kaa
aaNkh saaqii kii uThe naam ho paimaane kaa
[Iqbal Sufipuri]

chashm-e-saaqii mujhe har gaam pe yaad aatii hai
raastaa bhool na jaa_ooN kahiiN maiKhaane kaa
[Iqbal Sufipuri]

mast karanaa hai to Khud mooNh se lagaa de saaqii
too pilaayegii kahaaN tak mujhe paimaane se
[Jaleel Manikpuri]

sab kii nazaroN meN ho saaqii ye zaroorii hai magar
sab pe saaqii kii nazar ho ye zaroorii to nahiiN
[Khamosh Dehlvi]

saaqii kii har nigaah pe balkhaa ke pii gayaa
laharoN se khelataa huaa laharaa ke pii gayaa
[Jigar Moradabadi]

fareb-e-saaqii-e-mehfil na poochhiye "Majrooh"
sharaab ek hai badale hue haiN paimaane
[Majrooh Sultanpuri]

saaqii nazar na aaye to gardan jhukaa ke dekh
sheeshe meN maah_taab hai sach bolataa hooN maiN
[Unknown]

thii agar mai se suraahii terii Khaalii saaqii
to chiraaG-e-dar-e-maiKhaanaa jalaayaa kyooN thaa
[Unknown]

fazaa maGmoom hai saaqii uThaa chhalakaayeN paimaanaa
andheraa baRh chalaa hai laa zaraa qandeel-e-maiKhaanaa
[Unknown]


Dhal gayaa aaftaab ai saaqii
laa pilaa de sharaab ai saaqii

yaa suraahii lagaa mere mooNh se
yaa ulaT de naqaab ai saaqii

maikadaa chhoR kar kahaaN jaa_ooN
hai zamaanaa Kharaab ai saaqii

jaam bhar de gunaah_gaaroN ke
ye bhii hai ik sawaab ai saaqii

aaj peene de aur peene de
kal kareNge hisaab ai saaqii
[Sudarshan Faakir]
Copyright (c) 1997 - 2020 Nita Awatramani