Unwaan
  • Home
  • Suggest A Theme
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sher-o-Shaayari
    • Sahir Ludhianvi
    • Urdu Poetry Archive

mareez / beemaar

mareez-e-ishq par rahamat Khudaa kii
marz baRhataa gayaa jooN-jooN dawaa kii
[Meer Taqi Meer]

[rahamat = kindness; marz = illness; jooN-jooN = as (jaise-jaise)]

un ke dekhe se jo aa jaatii hai mooNh pe raunaq
wo samajhate haiN ki beemaar kaa haal achchhaa hai
[Mirza Ghalib]

ab to beemaar-e-muhabbat tere
qaabil-e-Gaur hue jaate haiN
[Daag Dehlvi]

beemaar tere jee se guzar jaayeN to achchhaa
jeete haiN na marate haiN ye mar jaayeN to achchhaa
[Fani Badayuni]

ulaTii ho ga_iiN sab tadbeereN kuchh na davaa ne kaam kiyaa
dekho is beemari-e-dil ne aaKhir kaam tamaam kiyaa
[Meer Taqi Meer]

aap uTh rahe haiN kyooN mere aazaar dekh kar
dil Doobate haiN haalat-e-beemar dekh kar
[Saqib Lucknawi]
Copyright (c) 1997 - 2020 Nita Awatramani