Unwaan
  • Home
  • Suggest A Theme
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sher-o-Shaayari
    • Sahir Ludhianvi
    • Urdu Poetry Archive

koochaa

nikalanaa Khuld se aadam kaa sunate aaye haiN lekin
bahut be-aabaroo ho kar tere kooche se ham nikale
[Mirza Ghalib]

phir tere kooche ko jaataa hai Khayaal
dil-e-gum_gashtaa magar yaad aayaa
[Mirza Ghalib]

zauf se naksh-e-paa-e-moR hai tauq-e-gardaaN
tere kooche se kahaaN taaqat-e-raam hai ham ko
[Mirza Ghalib]

tere kooche kaa hai maa_il dil-e-muztar meraa
kaabaa ik aur sahii qiblaa_numaa aur sahii
[Mirza Ghalib]

kam nahiiN jalwaagarii meN tere kooche se bahisht
yahii naqshaa hai wale is qadar aabaad nahiiN
[Mirza Ghalib]

hu_ii hai kis qadar arzaanii-e-may-e-jalwaa
ki mast hai tere kooche meN har dar-o-deewaar
[Mirza Ghalib]

rahate the kabhii jin ke dil meN ham jaan se bhii pyaaroN kii tarah
baiThe haiN unhiiN ke kooche meN ham aaj gunah_gaaroN kii tarah
[Majrooh Sultanapuri]

ho sake kyaa apanii wahshat kaa ilaaj
mere kooche meN bhii saharaa chaahiye
[Daag Dehlvi]

janaazewaalo na chup ke qadam baRhaaye chalo
usii kaa koochaa hai tuk karate haaye haaye chalo
[Hiranand 'Soz']

zindagii Khatm jahaaN kii wo jagah phir na milii
tere kooche se uThaaye liye jaate haiN mujhe
[Razaa]

abhii aa_ii bhii nahiiN koochaa-e-dil_bar se sadaa
khil ga_ii aaj mere dil kii kalii aap hii aap
[Daag Dehlvi]

aql kahatii hai na jaa koochaa-e-qaatil kii taraf
sarfaroshii kii hawas kahatii hai ki chal kyaa hogaa
[Bedil Azeemabadi]

aa kar Kharaab haiN tere kooche meN warnaa ham
ab tak to jis zameeN pe rahe aasmaaN rahe
[Anwar]

paa-e-bosii bhii tumheN yaar kii mil jaayegii
us ke kooche kii zaraa Khaak to mil jaane do
[Unknown]

is kooche meN ka_ii us ke shanaasaa bhii to haiN
wo kisii aur se milane ke bahaane aaye
[Parveen Shakir]

ye gardish-e-zamaanaa hameN kyaa miTaayegii
ham haiN tawaaf-e-koochaa-e-jaanaaN kiye hue
[Qabil Ajmeri]

ko_ii deewaanaa chaahe bhii to lagzish kar nahiiN sakataa
tere kooche meN paaoN laRakhaRaanaa bhool jaate haiN
[Qabil Ajmeri]

kitane shoriidaasar muhabbat meN
ho gaye koochaa-e-sanam kii Khaak
[Qabil Ajmeri]

koochaa-e-yaar markaz-e-anwaar
apane daaman meN dasht-e-Gam kii Khaak
[Qabil Ajmeri]

Gam-e-jahaaN ke taqaaze shadeed haiN warnaa
junooN-e-koochaa-e-dildaar ham bhii rakhate haiN
[Qabil Ajmeri]

saahib-e-dard ho ke ham "Qabil"
koochaa-e-chaaragar meN rahate haiN
[Qabil Ajmeri]

ye kooche ye neelaam_ghar dil_kashii ke
ye luTate hue kaarawaaN zindagii ke
kahaaN hai kahaaN hai muhaafiz Khudii ke
sanaa Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaaN hai

ye pur_peNch galiyaaN ye beKhwaab baazaar
ye gum_naam raahii ye sikkoN kii jhankaar
ye ismat ke saude ye saudoN pe takaraar
sanaa Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaaN hai

ta'ffun se pur_neem roshan ye galiyaaN
ye masalii hu_ii adh khulii zard kaliyaaN
ye bikatii hu_ii khokalii rang-raliyaaN
sanaa Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaaN hai

zaraa mulk ke rahbaroN ko bulaao
ye galiyaaN ye kooche ye manzar dikhaao
sanaa Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq ko laao
sanaa Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaaN hai
[Sahir Ludhianvi]
Copyright (c) 1997 - 2020 Nita Awatramani