Unwaan
  • Home
  • Suggest A Theme
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sher-o-Shaayari
    • Sahir Ludhianvi
    • Urdu Poetry Archive

intazaar

ham intazaar kareNge teraa qayaamat tak
Khudaa kare ki qayaamat ho aur tuu aaye
[Sahir Ludhianvi]

ab to uTh sakataa nahiiN aaNkhoN se baar-e-intazaar
kis tarah kaaTe ko_ii lail-o-nahaar-e-intazaar

un kii ulfat kaa yaqeeN ho un ke aane kii ummeed
hoN ye donoN soorateN tab hai bahaar-e-intazaar

un ke Khat kii aarzoo hai un ke aamad kaa Khayaal
kis qadar phailaa huaa hai kaarobaar-e-intazaar
[Hasrat Mohani]

[baar = weight; aamad = arriwal]

intazaar hii rahaa o subah teraa
kaalii raat ke saaye meN ab dil TooT gayaa
[Mauj Meeruthi]

tamaam umr teraa intazaar ham ne kiyaa
is intazaar meN kis kis se pyaar ham ne kiyaa
[Hafiz Hoshiarpuri]

jo bhii bichhaRe haiN kab mile haiN 'Faraz'
phir bhii too intazaar kar shaayad
[Ahmad Faraz]

lutf jo us ke intazaar meN hai
wo kahaaN mausam-e-bahaar meN hai
[unknown]

din guzar gayaa aitabaar meN
raat kaT ga_ii intazaar meN

wo mazaa kahaaN wasl-e-yaar meN
lutf jo milaa intazaar meN
['Fana' Nizami Kanpuri]

ai intazaar-e-jaanaaN ham jaanate haiN tujhe
kaaTii hai raat ham ne karawaT badal badal ke
[Unknown]

ye na thii hamaarii qismat ke visaal-e-yaar hotaa
agar aur jeete rahate yahii intazaar hotaa
[Mirza Ghalib]

Gazab kiyaa tere waade pe aitabaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa intazaar kiyaa
[Daag Dehlvi]

umr-e-daraaz maaNg kar laaye the chaar din
do aarzoo meN kaT gaye do intazaar meN
[Bahadur Shah Zafar]

shab-e-intazaar kii kash-ma-kash na pooch kaise sahar hu_ii
kabhii ik chiraaG jalaa diyaa kabhii ik chiraaG bujhaa diyaa
[Majrooh Sultanpuri]

baaG-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diyaa thaa kyoN
kaar-e-jahaaN daraaz hai ab meraa intazaar kar
[Allama Iqbal]

looTe maze usii ne tere intazaar ke
jo hadd-e-intazaar se aage nikal gayaa
[Asar Lucknawi]

ko_ii aayaa na aayegaa lekin
kyaa kareN gar na intazaar kareN
[Firaq Gorakhpuri]

maut kaa intazaar baaqii hai
aap kaa intazaar thaa na rahaa
[Fani Badayuni]

jaan-e-sukoon aa bhii jaa teraa hii intazaar hai
aaNkhoN se ashk hai rawaaN jaaN bhii beqaraar hai

hone ko fasl-e-gul bhii hai daawat-e-aish hai magar
apanii bahaar kaa mujhe aaj bhii intazaar hai
[Yahya Jasdanwalla]

ik umr kaT ga_ii hai tere intazaar meN
aise bhii haiN ke kaT na sakii jin se ek raat
[Firaq Gorakhpuri]

kuchh din ye bhii rang rahaa intazaar meN
aaNkh uTh ga_ii jidhar bas udhar dekhate rahe
[Asar Lucknawi]

jis moR par kiye the ham intazaar barasoN
us se lipaT ke roye deewaanaawaar barasoN
[Sudarshan Faakir]

tamaam umr teraa intazaar kar leNge
magar ye ranj rahegaa ki zindagii kam hai
[Shahid Siddiqi]

paiGaam zindagii ne diyaa maut kaa mujhe
marane ke intazaar meN jeenaa paRaa mujhe
[Safi Lucknawi]

beKhudii le ga_ii kahaaN ham ko
der se intazaar hai apanaa
[Meer Taqi Meer]

terii raahoN meN baarahaa ruk kar
ham ne apanaa hii intazaar kiiyaa
[Gulzar]

mujh ko ye aarzoo wo uThaayeN naqaab Khud
un ko ye intazaar taqaazaa kare ko_ii
[Majaz]

taa phir na intazaar meN neeNd aaye umr bhar
aane kaa ahad kar gaye aaye jo Khwaab meN
[Mirza Ghalib]

jab nigaaheN uTh ga_iiN allaah re meraaj-e-shauq
dekhataa kyaa hooN wo jaan-e-intazaar aa hii gayaa
[Jigar Moradabadi]

ab kii baras bhii wo nahiiN aayaa bahaar meN
guzaregaa aur ek baras intazaar meN
[Payaam Saeedi]

kahaaN hai tuu ke tere intazaar meN ai dost
tamaam raat sulagate rahe dil ke veeraane
[Nasir Kazmi]

roz jeetaa huaa roz marataa huaa
har naye din nayaa intazaar aadamii
[Nida Fazli]

wo na aayegaa hameN maaloom thaa us shaam bhii
intazaar us ka magar kuchh soch kar karate rahe
[Parveen Shakir]

aaj ashkoN kaa taar TooT gayaa
rishtaa-e-intazaar TooT gayaa
[Saifuddin Saif]

na jis kii shakl hai ko_ii na jis kaa naam hai ko_ii
ik aisii shai kaa kyoN hameN azal se intazaar hai
[Shahryar]

tum aaye ho na shab-e-intazaar guzarii hai
talaash meN hai sahar baar baar guzarii hai
[Faiz Ahmad Faiz]

ik intazaar saa thaa ab nazar meN wo bhii nahiiN
safar meN marane kii fursat thii ghar meN wo bhii nahiiN
[Mahashar Badayuni]

TooTii jo aas jal gaye palkoN pe sau chiraaG
nikharaa kuchh aur rang shab-e-intazaar kaa
[Mumtaz Mirza]

ab kis ke intazaar meN jaageN tamaam shab
wo saath ho to neend meN kaise Khalal paRe
[Shehzad Ahmed]

[tamaam = whole/entire; shab = night; Khalal = disturbance/obstruction]

merii naash ke sirhaane wo khaRe ye kah rahe haiN
ise neend yooN na aatii agar intazaar hotaa
[Safi Lucknawi]

[naash = corpse; sirhaane = near the head]

Gam-e-hayaat se dil ko abhii nijaat nahiiN
nigaah-e-naaz se kah do ki intazaar kare
[Shakeel Badayuni]

na ko_ii waadaa na ko_ii yaqeeN na ko_ii ummeed
magar hameN to teraa intazaar karanaa thaa
[Firaq Gorakhpuri]

tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahiiN intazaar apanaa hai
[Ahmad Faraz]

KhizaaN ke rang meN abhii bahaar baaqii hai
chiraaG-e-sahar hai par intazaar baaqii hai
[Azra Adil Rashid]

maiN zindaa thaa ki teraa intazaar Khatm na ho
jo tuu milaa to ab sochataa hooN mar jaa_ooN
[Ahmed Nadeem Qasmi]

phir baiThe baiThe waadaa-e-vasl us ne kar liyaa
phir uTh khaRaa huaa wahii rog intazaar kaa
[Ameer Minai]

lauT aa_ooNgaa surKh_roo ho kar
saaraa lashkar is intazaar meN thaa
[Anees Amrohwi]

[surKh_roo = wictorious; lashkar = army]

haalaat kah rahe haiN ki ab wo na aayenge
ummeed kah rahii hai zaraa intazaar kar
[Irfan 'Abid']

duniyaa to Khair chhoR ke aage nikal ga_ii
tum ne bhii intazaar hamaaraa nahiiN kiyaa
[Irfan 'Abid']
Copyright (c) 1997 - 2020 Nita Awatramani