Unwaan
  • Home
  • Suggest A Theme
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sher-o-Shaayari
    • Sahir Ludhianvi
    • Urdu Poetry Archive

iid (Eid)

itane meN aur charKh ne miTTii paliit kii
bachche ne muskuraa ke Khabar dii jo iid kii
[Josh Malihabadi]

** The above lines are from Josh's nazm titled 'muflisoN kii iid'.

roze kii Khushii se the jo zard zard gaal
Khush ho jaaye dekhate hii iid ke hilaal
[Unknown]

[hilaal = crescent moon]

ham ne is saal bhii na paa_ii tere Gam se nijaat
ham ne is saal bhii na dekhaa iid kaa chaaNd
[Unknown]

kyaa lutf-e-iid hai jo agar tum se door hooN
guzaregaa roz-e-iid tasavvur meN aap ke
[Unknown]

ghero meN hai jo shaad use iid mubaarak
ham jis ko nahiiN yaad use iid mubaarak
[Unknown]

ahabaab poochhate haiN baRii saadagii ke saath
tuu ab ke saal iid manaayegaa kis tarah
[Unknown]

Gam hii Gam haiN terii ummeed meN kyaa rakkhaa hai
iid aayaa kare ab iid meN kyaa rakkhaa hai
[Unknown]

dekhaa hilaal-e-iid to aayaa teraa Khayaal
wo aasmaaN kaa chaaNd hai too meraa chaaNd hai
[Unknown]

Khud to aaye nahiiN aur iid chalii aa_ii hai
iid ke roz mujhe yooN na sataaye ko_ii
[Unknown]

is meharbaan kii nazar-e-inaayat kaa shukriyaa
tohfaa diyaa hai iid pe ham ko judaa_ii kaa
[Unknown]

dekhaa hilaal-e-iid to tum yaad aaye
is mahviyat meN iid hamaarii guzar ga_ii
[Unknown]
Copyright (c) 1997 - 2020 Nita Awatramani