Unwaan
  • Home
  • Suggest A Theme
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sher-o-Shaayari
    • Sahir Ludhianvi
    • Urdu Poetry Archive

ghar

wo aaye ghar meN hamaare Khudaa kii qudrat hai
kabhii ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate haiN
[Mirza Ghalib]

be-dar-o-deewaar kaa ik ghar banaayaa chaahiye
ko_ii ham_sayaa na ho aur paasabaaN ko_ii na ho
[Mirza Ghalib]

rahe haiN yooN gah-o-begah kii koo-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman kaa ghar hai kyaa kahiye
[Mirza Ghalib]

tum maah-e-shab-e-chaar daaham the mere ghar ke
phir kyooN na rahaa ghar kaa wo nakshaa ko_ii din aur
[Mirza Ghalib]

ug rahaa hai dar-o-deewaar pe sabzaa "Ghalib"
ham bayaabaaN meN haiN aur ghar meN bahaar aa_ii hai
[Mirza Ghalib]

dil meN zauq-e-wasl-o-yaad-e-yaar tak baaqii nahiiN
aag is ghar ko lagii aisii ki jo thaa jal gayaa
[Mirza Ghalib]

aaye hai bekasii-e-ishq pe ronaa "Ghalib"
kis ke ghar jaayegaa sailaab-e-balaa mere baad
[Mirza Ghalib]

apanii galii meN mujh ko na kar dafn baad-e-qatl
mere pate se Khalq ko kyooN teraa ghar mile
[Mirza Ghalib]

chhoRaa na rashk ne ki tere ghar kaa naam looN
har ek se poochhataa hooN ki jaa_ooN kidhar ko maiN
[Mirza Ghalib]

ek hangaamaa pe mauqoof hai ghar kii raunaq
nauhaa-e-Gam hii sahii naGmaa-e-shaadii na sahii
[Mirza Ghalib]

kyaa hii rizwaan se laRaa_ii hogii
ghar teraa Khuld meN gar yaad aayaa
[Mirza Ghalib]

ko_ii veeraanii sii veeraanii hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
[Mirza Ghalib]

ghar hamaaraa jo na rote bhii to veeraaN hotaa
bahar gar bahar na hotaa to bayaabaaN hotaa
[Mirza Ghalib]

nazar meN khaTake hai bin tere ghar kii aabaadii
hameshaa rote haiN haiN ham dekh ke dar-o-deewaar
[Mirza Ghalib]

nagarii nagarii phiraa musaafir ghar kaa rastaa bhool gayaa
kyaa hai teraa kyaa hai meraa apanaa paraayaa bhool gayaa
[Miraji]

tanhaa_ii ko ghar se ruKhsat kar to do
socho kis ke ghar jaayegii tanhaa_ii
[Zafar Gorakhpuri]

yaad nahiiN kyaa kyaa dekhaa thaa saare manzar bhool gaye
us kii galiyoN se jab lauTe apanaa bhii ghar bhool gaye

Khoob gaye pardes ki apane deewaar-o-dar bhool gaye
sheesh mahal ne aisaa gheraa miTTii ke ghar bhool gaye
[Nazeer Baqri]

ghar to aisaa kahaaN thaa lekin
dar-ba-dar haiN to yaad aataa hai
[Unknown]

ye sard raat ye aawaragii ye neend kaa bojh
ham apane shahar meN hote to ghar gaye hote
[Unknown]

ko_ii aake jaise chalaa gayaa ko_ii jaake jaise gayaa nahiiN
mujhe apanaa ghar bhii ghar lagaa to Khayaal terii taraf gayaa
[Unknown]

sunate haiN ke apane hii the ghar looTane waale
achchhaa huaa maiN ne ye tamaashaa nahiiN dekhaa
[Unknown]

baarish hu_ii to ghar ke dareeche se lage ham
chup-chaap sog_waar tumheN sochate rahe
[Unknown]

saRak ko chhoR kar chalanaa paRegaa
ke mere ghar kaa kachchaa raastaa hai
[Unknown]

jis jaa makeen ban ne ke dekhe the maiN ne Khwaab
us ghar maiN ek shaam kii mahamaaN bhii na thii
[Parveen Shakir]

raste meN mil gayaa to shareek-e-safar na jaan
jo chhaaoN mehar_baaN ho use apanaa ghar na jaan
[Parveen Shakir]

ghar aap hii jagamagaa uThegaa
dehaleez pe ik qadam bahut hai
[Parveen Shakir]

bahut se log the mahamaaN mere ghar lekin
wo jaanataa thaa ke ehatemaam kis ke liye
[Parveen Shakir]

kal jaane kaise honge kahaaN honge ghar ke log
aaNkhoN meN ek baar bharaa ghar sameT looN
[Ajmal Ajmali]

log Toot jaate haiN ek ghar ke banaane meN
tum taras nahiiN khaate bastiyaaN jalaane meN
[Bashir Badr]

deewaar khastaa_haal hai aur dar udaas hai
jab se ko_ii gayaa hai meraa ghar udaas hai
[Nasir Basheer]

yooN hii besabab na phiraa karo
kisii shaam ghar bhii rahaa karo

wo Gazal kii sachchhii kitaab hai
use chupake chupake paRhaa karo
[Bashir Badr]

ghar nayaa bartan naye kapaRe naye
in puraane kaaGazaoN kaa kya kareN
[Jaun Eliya]

ilaahii mere dost hoN Khairiyat se
ye kyooN ghar meN patthar nahiiN aa rahe haiN
[Khumar Barabankwi]

jab ghar ko mere aag lagii to kuchh maal bachaa thaa jalane se
aur wo bhii un ke haath lagaa jo aag bujhaane aaye the
[Unknown]

mere Khudaa mujhe itanaa to motabir kar de
maiN jis makaan meN rahataa hooN us ko ghar kar de
[Unknown]

use kahanaa ke palkoN par na TaaNke Khwaab kii jhaalar
samandar ke kinaare ghar banaa ke kuchh nahiiN milataa

ye achchhaa hai ke aapas ke bharam na TooTane paayeN
kabhii bhii dostoN ko aazamaa kar kuchh nahiiln milataa
[Unknown]

tujh bin ghar kitanaa soonaa thaa
deewaaroN se Dar lagataa thaa
[Nasir Kazmi]

gharoN pe naam the naamoN ke saath ohade the
bahut talaash kiyaa ko_ii aadamii na milaa
[Bashir Badr]
Copyright (c) 1997 - 2020 Nita Awatramani