Unwaan
  • Home
  • Suggest A Theme
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sher-o-Shaayari
    • Sahir Ludhianvi
    • Urdu Poetry Archive

dost / dostii

dost Gam_Khwaarii meN merii sa_ii farmaayeNge kyaa
zaKhm ke bharane talak naaKhoon na baRh jaayeNge kyaa
[Mirza Ghalib]

jo munkir-e-wafaa ho fareb us pe kyaa chale
kyoN bad_gumaaN hooN dost se dushman ke baab meN
[Mirza Ghalib]

nahiiN gar hamdardii aasaaN na ho ye rashk kyaa kam hai
na dii hotii Khudaayaa aarzoo-e-dost dushman ko
[Mirza Ghalib]

"Ghalib" nadeem-e-dost se aatii hai boo-e-dost
mashGool-e-haq hooN baNdagii-e-but_raab meN
[Mirza Ghalib]

ye kahaaN kii dostii hai ke bane haiN dost naaseh
ko_ii chaarasaaz hotaa ko_ii  Gam_gusaar  hotaa
[Mirza Ghalib]

ye fitnaa aadamii kii Khaanaaveeraanii ko kyaa kam hai
hue tum dost jis ke dushman us kaa aasamaaN kyoNho
[Mirza Ghalib]

tum takalluf ko bhii iKhlaas samajhate ho "Faraz"
dost hotaa nahiiN har haath milaane waalaa
[Ahmed Faraz]

bhool shayad bahut baRii kar lii
dil ne duniyaa se dostii kar lii
[Bashir Badr]

ai dost yooN to ham terii hasrat ko kyaa kaheN
lekin ye zindagii bhii ko_ii zindagii nahiiN
[Firaq Gorakhpuri]

bad_gumaaN ho ke mil aaii dost jo milanaa hai tujhe
ye jhijhakte hue milanaa koi milanaa bhii nahiiN
[Firaq Gorakhpuri]

[bad_gumaaN = without doubt/suspicion]

hameN bhii dostoN se kaam aa paRaa yaanii
hamaare dostoN ke bewafaa hone kaa waqt aayaa
[Hari Chand Akhtar]

mujhe mere dostoN se bachaa_iye "Rahi"
dushmanoN se maiN Khud nipaT looNgaa
[Saeed Rahi]

dostoN se aaj mulaaqaat kii shaam hai
ye sazaa kaaT ke phir apane ghar ko jaa_ooNgaa
[Mazhar Imam]

dushmanoN se pashemaaN honaa paRaa
dostoN kaa Khuloos aazamaane ke baad
[Khumar Barabankvi]

haTaaye the jo raah se dostoN kii
wo patthar mere ghar meN aane lage haiN
[Khumar Bbarabankvi]

saaf kab imtihaan lete haiN wo to dam deke jaan lete haiN
zid har ek bat meN nahiiN achchhii dost kii dost maan lete haiN
[Daag Dehlvi]

giregii kahaaN ye barq dosto
meraa to kahiiN aashiyaaN bhii nahiiN
[Mumtaz Mirza]

kyaa lutf-e-dostii ki nahiiN lutf-e-dushmanii
dushman ko bhii jo dekhiye pooraa kahaaN hai ab
[Daag Dehlvi]

maiN muddatoN jiyaa hooN kisii dost ke baGair
ab tum bhii saath chhoRane ko kah rahe ho, Khair
[Firaq Gorakhpuri]

ham se poochho na dostii kaa silaa
dushmanoN kaa bhii dil hilaa degaa
[Sudarshan Faakir]

wo zamaanaa bhii tumheN yaad hai tum kahate the
dost duniyaa meN nahiiN "Daag" se bahatar apanaa
[Daag Dehlvi]

merii Khushii se mere dostoN ko Gam hai "Shamim"
mujhe bhii is kaa bahut Gam hai kyaa kiyaa jaaye
[Shamim Jaipuri]

dostii jab kisii se kii jaaaye
dushmanoN kii bhii raay lii jaaye
[Raha Indori]

[raay = opinion]

ai dost tum se tark-e- ta'alluq ke baawajood
mehsoos kii hai terii zaroorat kabhii kabhii
[Sahir Ludhianvi]


laakh be-mehar sahii dost to rakhate ho "Faraz"
inheN deKho ke jinheN ko_ii bhii sitam_gar na milaa
[Ahmed Faraz ]

yoN lage dost teraa mujh se Khafaa ho jaanaa
jis tarah phool se Khushboo kaa judaa ho jaanaa
[Qateel Shifai]

DhooNDhane par bhii na milataa thaa mujhe apanaa wajood
maiN talaash-e-dost meN yooN benishaaN thaa dosto
[Jagannath Azad]

dost ban ban ke mile mujh ko miTaanewaale
maiN ne dekhe haiN ka_ii raNg badalanewaale
[Saeed Rahi]

mere ham_nafas, mere ham_nawaa, mujhe dost ban ke daGaa na de
maiN hooN dard-e-ishq se jaaN ba_lab, mujhe ziNdagii kii duaa na de
[Shakeel Badayuni]

[ba_lab = at the brink of]

ai dost miT gayaa hooN fanaa ho gayaa hooN maiN
is daur-e-dostii kii dawaa ho gayaa hooN maiN
[Hafeez Jullundhary]

[daur = age/era]

har taraf zeest kii raahoN meN kaRii dhoop hai dost
bas terii yaad ke saaye haiN panaahoN kii tarah
[Sudarshan Faakir]

[zeest = life; kaRii = strong; panaah = shelter/protection]

Khudaa jab dost hai ai "Daag" kyaa dushman se andeshaa
hamaaraa kuchh kisii kii dushmanii se ho nahiiN sakataa
[Daag Dehlvi]

[andeshaa = apprehension/fear]

apanoN ne nazar pherii to dil ne to diyaa saath
duniyaa meN ko_ii dost mere kaam to aayaa
[Shakeel Badayuni]

wo meraa dost hai saare jahaaN ko hai maaloom
daGaa kare wo kisii se to sharm aaye mujhe
[Qateel Shifai]

[daGaa = betrayal]
Copyright (c) 1997 - 2020 Nita Awatramani