Unwaan
  • Home
  • Suggest A Theme
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sher-o-Shaayari
    • Sahir Ludhianvi
    • Urdu Poetry Archive

bazm


mujh tak kab un kii bazm meN aataa thaa daur-e-jaam
saaqii ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab meN
[Mirza Ghalib]

wo ek mulaaqaat meN hairaan kar gayaa
wo bazm se gayaa aur weeraan kar gayaa
[Unknown]

bazm meN aao kisii din kar ke tum solaah singaar
ek qayaamat waqt se pehale bhii aanaa chaahiye
[Murad Lucknawi]

wo aaye bazm meN itanaa to 'Meer' ne dekhaa
phir is ke baad chiraaGhoN meN raushanii na rahii
[Meer Taqi Meer]

abhii se hosh uRe maslihat_pasandoN ke
abhii maiN bazm meN aayaa abhii bolaa kahaaN
[Unknown]

raunaq-e-bazm ban gaye lab pe hikaayateN rahiiN
dil meN shikaayateN rahiiN lab na magar hilaa sake
[Hafeez Jalandhari]

bazm-e-anjum hoke bazm-e-Khaak taa bazm-e-Khayaal
jis jagah jaao sunaa_ii degii insaanoN kii baat
[Wamiq Jaunpuri]

jamaa kar leejiye GhamzoN ko magar Khuubii-e-bazm
bas wahiiN tak hai ke baazaar na hone paaye
[Shibali]
us bazm meN mujhe nahiiN banatii hayaa kiye
baiThaa rahaa agarche ishaare huaa kiye
[Mirza Ghalib]

buu-e-gul naalaa-e-dil dood-e-charaaGh-e-mehfil
jo terii bazm se nikalaa so parishaaN nikalaa
[Mirza Ghalib]

ek aaNsoo ne Duboyaa mujh ko un kii bazm meN
booNd bhar paanii se saarii aabaroo paanii hu_ii
[Zauq]

jo terii bazm se uThaa wo is tarah uThaa
kisii kii aaNkh meN aaNsoo kisii ke daaman meN
[Unknown]

uTh kar to aa gaye haiN terii bazm se magar
kuchh dil hii jaanataa hai kis dil se aaye haiN
[Faiz]

phir nazar meN phool mahake dil meN phir shameN jaleeN
phir tasawwur ne liyaa us bazm meN jaane kaa naam
[Faiz Ahmed Faiz]

dil leke un kii bazm meN jaayaa na jaayegaa
ye mudda_ii baGhal meN chhupaayaa na jaayegaa
[Daag Dehlvi]

dil-e-muztar se poochh ai raunaq-e-bazm
maiN Khud aayaa nahiiN laayaa gayaa hooN
[Shad Azeemabadi]
Copyright (c) 1997 - 2020 Nita Awatramani