Unwaan
  • Home
  • Suggest A Theme
  • Related Sites
    • Anjuman-e-Mausiqui
    • Sher-o-Shaayari
    • Sahir Ludhianvi
    • Urdu Poetry Archive

aadat


aadatan tum ne kar diye waade 
aadatan ham ne aitbaar kiyaa
[Gulzar] 

aadat sii banaa lii hai tum ne to "Munir" apanii
jis shahar meN bhii rahanaa ghabaraaye hue rahanaa
[Munir Niazi]

ham bhii tasleem kii Khoo DaaleNge
beniyaazii terii aadat hii sahii
[Mirza Ghalib]

marane ke waqt bhii merii aaNkheN khulii rahiiN
aadat jo par ga_ii thee tere intezaar kii
[Unknown]
aadat sii hai nashaa na ab kaif
paanii na piyaa sharab pii lii
[Riaz Khairabadi]

lazzat kabhii thii ab to museebat sii ho ga_ii
mujh ko gunaah karane kii aadat sii ho ga_ii
[Bekhud Dehlvi]

kuchh ho lekin ye merii aadat hai
jab vo aayeN to muskuraa denaa
[Josh Malihabadi]
Copyright (c) 1997 - 2020 Nita Awatramani